Tuesday, December 27, 2011

Shayad kahin ye unke dil ka koi paigam hai

Katra katra aaj unhen hi janta hai,
Ye ek muddat se unhen hi pahchanta hai..
Sochata hoon chupa leta apne dil me kahin,
Par ye kambakht dil bhi bas unhen hi chahta hai..

Ankhon me jo armaan sajayen hain,
Ye bhi unke ehsanon ka anjaam hai..
Tutati saanse bhi jud jati hain,
Shayad kahin ye unke dil ka koi paigam hai..

Hontho par bhi ek muskan chalak jati hain,
Yadein dil ke bhanvar me jab aati hai...
Jasbat chehre pe machal aate hain,
Jab unke ghunguru ki aahten bhi aati hai...

Armano ke shamiyane main,
Bas unke hi silwaten hai..
Unn silwaton ke darmiyanon main,
Bas unki hi chahten hai...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Saturday, December 10, 2011

Nari tu Narayani

Wo chand bhi chandalika bhi,
aur shashwat radhika bhi..

wo tej hai ék Prajwala si,
aur prajwalit aarti bhi...

wo sur kavita ki hai koi,
sur ki wo rasdhar bhi...

Wo sheesh hai ek vriksh ka,
Sheesh ka abhimaan bhi..

Wo bhoomi hai mamta ki koi,
Aur uski ki chanv bhi..

Wo nav samandar me hai koi,
Nav ki majdhar bhi..
Wo tootati khud toi hai lekin,
Humen lagati paar bhi..

Wo abla nahin ek nari hai,
Deti hai jo pyar hi...

Dedicated to girls, who live life for others avoiding all her pains.

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Thursday, December 8, 2011

Aksar jab tumhara jikr aata hai

aksar jin lamhon me tumhara jikr aata hai,
sanse ruk jaati hain dil tham Se thahar jaata hai.
Ek arsa hua tujhse mile hue aiye hujur,
abb to ankhon me bhi tera chehra,
dhundla sa najar aata hai.

amavas ki Kali raaton me jab chand ki roshni na hoti hai,
Bas dil me har jasbaat umad jataa hai.
Sochata hoon palkon me chipaya na kyon tujhe,
uss soch Se ankhon me bhanvar sa aata hai.
Ankhen bhar jaati hain meri,
par ye dil khali sa najar aata hai.

With Love
Brijesh Kumar Pandey

Wednesday, December 7, 2011

Dedication from someone to me...Really loving it alot...And thanks

"Dil me hai koi mere,
Jo har pal mujhe satata hai;
Na jaane wo kaun hai,
Jo din raat mera chain churata hai;
Chori se chupke se,
Mere kaano me kuch kehta hai;
Jab hansti hoon main,
To mere labon ko chum jata hai;
Jab dhundhti hai meri nazre use,
Tab meri aankhen band kar deta hai;
Karta hai itni shaitaaniya,
Par phir bhi dil usiko pukaarta hai;
Dil me hai koi mere,
Jo har pal mera chain churata hai;
Na jaane wo kaun hai,
Jo din raat mera chain churata hai."