Monday, January 23, 2012

Meri taqdeer

Ek angaar jindagi ke,
bhadka diye tumne...
Jo bujh chuke the aag,
unhen sulgaa diye tumne....
nayano main jo khwab,
patthar se ban gaye the....
unn khwabon ko,
dil par fir saaja diye tumne....
Napak jindagi ji raha tha main,
Use pak bana diya tumne...
Hasraton me bhi koi tasveer na thi,
Aaj khud ko taqdeer bana diya tumne..

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Some good thoughts

- I don wanna close my eyes..I wanna feel your sight, I wanna close my heart by holding your heart tight..

- Shayad ye jid hai khud se....tujhe paa sakun...karun ibadat teri tujhe ruh me basa sakun...Karta rahe ye dil dar par intezaar...par dhadkan rukane se pahale jasbaat jaga sakun.....

- Hai akhiri salaam tujhe jindagi meri...Silwaton main lipte dekho ruh jaa rahi hai...Hai armaan humare tujhe khusiyan hi de sakoon...Par aaj khusiyon main bhi gam ke ehsaas aa rahi hai.....

-I love them alot...because without them I would have unable to get whatever I got today...They taught me, they made me strong...they filled me with temerity and helped me to face the worst challenges in my life....Yeap they are the 'HURDLES'.....

- agar kadr na hoti jindagi main aapki...har dastak aapki hum nakaar dete...dil par Jo likha dastaan....unhen kharonch kar nikal dete...jo paane ki guzarish karte ho aap...use dene ko khud ko khud bhi fanaa hote....

- I never knew who is best...My friends or God....Frens shared their shoulder when I was crying ( God made me Cry ?)....Frens hold me strongly whenever I fell ( Don't know where was the god ?)...I feel that is y still I am with all of my frens.....And thanks for sharing the moments till now....Hope will share through out our life.....

- if I have to love..y can't I love u...if I have to kiss...I love to kiss u...if I have to live...y don't I miss u..if I have a word for u...its always love to u...hope to see the happiness..which stay close to u...

- Har Manjhi ka aur nauka ka rahata yehi fasaana hai...dariya par, Lehar bhed abb to badhate Jana hai..fir tufanon ki maujon me usko gote khana hai...par dariya ke par Le jaa kar un maunjo ko harana hai..fight till the end of life....Always proud on yourself..as your life is inimitable....

-The burning ball burn the soul but leave the ashes behind...But the sea of tranquility provides peace to even the dead rock....So its upto you what you want to be...

- har labjon main bas unka hi naam aata hai....har paigam bas unhin ki yaad dilata hai.....girte hain shabnam hi ankhon se mere, unki yaadon main jab dil dhadak jaata hai...

-Sleep like a rex...fight like a gladiator....work like a sailor...you will always have the success and ll never face any failure....

- Don't know its miracle or disaster, that we met.....but its really our destiny which we are going to live....so be my Psych and let me have the privilege of being your Eros.

- Har insaan main ek junoon hai jeet jane ki...ek hausala hai khud ko banane ki....Jeete hain shaan se wo jinhen kuch fikr nahin iss jamane ki...

-You are the morning shine...you are the oldest wine....Hope that you will remain close to my heart till I die...

-Perfection can come out of the imperfect life...but you come to know only in the absence of it.....So have value for everything in your life and enjoy all your moments...


-you are my systole and I want to be your diastole... together we can say that there is a perfect life....

-Aakhiri ibadat bane tu meri jindagi ki......gaata rahoon main par geeton ke alfaaz bane tu meri maushiqui ki...


-Aata nahin yakin..tumse itna pyar hai....Yadein hui hai dhundali par aitbaar hai....

-Do what excites you more...That will your life adventurous...Never think just bang...If you fail then you experienced it...If you win whole world will be in your hand...So y to wait...Love adventures,do what you love...

-Jazz is like Gal Friend always sweet to hear...Rock is like wife best initially and then torture...-:)

-Har khushi jindagi ki haqiqat nahin hoti, har aansu kissi ki tadap nahin hota...Banata hai aashiyana mohabbat ke tale par har kissi ki kismat ko mohabbat naseeb nahin hoti....


Regards,
Brijesh Kumar Pandey

What is Life?

Life is like chess...Every move has some meaning...And the meaningless move comes up with a defeat...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Zindagi tu bewafaa hain...

Aaj to hum unki sargoshiyon me roye,
shayad hum jindagi ke khamishiyon me khoye...
toota nahin tha dil ék muddat se mera,
Aaj jindagi bhula gam ki kafan me soye..
Ankhon me ek nami liye hue,
Ansuon se khud ki mushkurhat hai dhoen..
Ek rakt rannjit badan me lete hue hain hum,
Uss rakt ki silwat me khud hain sanjoe..
Hoti na har ghadi,
abb aarzoo tumhari...
Har arzoo ko dil ki gahraiyon me khoye..

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Sunday, January 22, 2012

Dil Me koi dard chhupa wo baithe hain chup chaap se

koi doob ki chadar odhe,
baithe hain chup chap se...
Dil me har jasbaat chhupaye,
baithe hain chup chap se...
Hain nayno me bharkar aansu,
rote hain chup chap se..
Hain aansu me jasbaat sabhi,
Jo bahate unki aankh se..

Koi doob ki chadar odhe,
baithe hain chup chap se...

Nayno me hain boond Oss ki,
Ya aansu ki dhaar hain..
Jinhen chipane ki khoshish me,
Dhalti har ek shaam hain..

Dil hai koi shakh toonth ka,
Ya lete kaanto ki khaat pe..
Ismen gahara dard chupa,
Wo baithe hain chup chap se...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Monday, January 16, 2012

Tera Ehsaas mera Abhimaan

Tu chaand hai ya fir chandrika,
tu ambaa ya ambalika..
Tu suraj ki hai lau me koi,
shab ki koi sheetalta..

Tu jharne ka bahta paani,
Ya shringaar kiye jawani..
Tu ehsaas koi mand pawan ki,
Ya aagaaz mast basant ki..

Tu jivan ki saar hai koi,
Ya mera armaan hai koi..
Tu mitti ki bhini khushboo,
Ya hai koi dirgh aarzoo..

Khuda ki koi shaan hai tujhme,
Ye uska ehsaan hai mujhpe..
Tujhko wo fursat se banaya,
Har aks me mujhko hai basaya..

Tu meri jasbaat bani,
tu meri fitrat me saji..
Tune baandhi dor saanso ki,
Bankar meri har ek hansi....


Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Monday, January 9, 2012

Akhiri Salaam

Aiye jindagi tujhe mera akhiri salaam,

tutate palon me sambhala tha tune..

jindagi jina bhi seekhaya tha tune,

ho kar tujhse Juda main totata raha..

tutate shakhon pe khud ko khojta raha,

muqaddar ne milaya tujhe ék lamhon ke baad..

aaj bhi main unn lamhon ko main tatolta raha,

bhiga tha lahu ke uss rang me

Kahin jab tune tha choda..

Panahon me maut ki,

Mujhe tha dhakela..

Jasbaton ke bhanvar me,

Hum ulajhte rahe..

Unn uljhalnon ko aaj bhi main suljhata raha.

Ankhon me aansuon ki,

Jo dhar tune thi chodi..

Aaj bhi unki nadi me,

Khudko bhigota raha..

Di kashmkash ki jo rangoliya hain tune,

Unn rangoliyon me khudko bhi main sanjota raha.


Regards,

Brijesh Kumar Pandey

Mysterious Girl

Everytime she gets up,

there is a rise in my destiny..

I don't know who is she,

but she is not dream to me...

she hits me, she laughs over me

but she is true to me..

I feel her all the time,

n she stay close to me..

she is my soul,

Or its love of me..

but whatever she is,

she is just one of me..


Regards,

Brijesh Kumar Pandey

Wednesday, January 4, 2012

Tanha rah gaye hum, bas tanhaiyon ke sath

Itna to yaad hai mile ék arse hue,
shayad aaj unn lamhon ki yaadon ne jinda rakha hai humen.
ék baar saqui gar mud ke dekha hota..
to ankhon me chupa liya hota tumhen..

abb to ye ankhen bhi patthar si ho chali,
chhaya Thi ankhon me jo Teri wo bhi dhundali si humen mili..
khoja dil ke ashiyane jab tumhen kahin,
akhon Se har ehsas chalak padi..

Hum rokate tumhen ya tatolte kahin,
par shabnami laun me abb ye ankhen hi na rahin..
sochta hoon dil ko samjhaya kyon nahin,
dil ko tadapne Se bachaya kyon nahin.

par sochate hi dil ki dhadkane kahen..
tu nikal deta unhen to mar na jata kabhi...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Monday, January 2, 2012

Hausalon se Manjil milte hi hain Raahi...

Aaj tanhaiyon me baithe sochta hoon,
Mukaddar kya sirf hausale ka naam hai..
Tootate hain hausale bhi ek muddat ke baad,
Kya intejaar ka yehi anjaam hai..

Hai hasraton me agar hausale,
Ladate hain jangi barfeele jung me..
Choomate hain jameen ko wo ek fakr se magar,
Kya maut hi bas unka armaan hai..

Tanhaiyon me bhi deti hai roshani,
Kya roshani pe usko bhi gumaan hai..
Lau jal jaati hai ek shaam ke liye,
Kya shaam ko uss lau par bhi abhimaan hai..

Ye hausale hain shayad jo tootate nahin,
Unn hausalon se banati to khud ki hi shaan hai..
Jo toote kabhi to judate nahin hain raahi,
Aage chalna raah banana bas unka kaam hai..


Regards,
Brijesh Kumar Pandey