Saturday, March 24, 2012

Ek Sainik ki awaj

Hoon paki se laaj bachaya,
Aur chini ko maar bhagaya..
Soya reton ki chaon me,
Aur khoya tufano me...
Har jung ek abhiman bana,
Jiya main virano me..

Dekhata hoon jab desh apna,
Ankhen ho jaati hai nam si..
Dimag dil par haavi hokar,
Jab poochata hai...
Kyon jiya iss watan ke liye,
Jismen sirf ek desh to hai
Par odh ke chadar soye hain,
Khoyen hain iske wasi...
khud hi dushman ban baithe
Ladate hain ek jaati ke khatir..

Chhalni hai abb iss maa ka seena,
kaliyugi inn sapooton se..
Toot rahi sanson ki dori,
Bas inki kartooton se..


Regards,
Brijesh Kumar Pandey




Wednesday, March 21, 2012