Wednesday, January 4, 2012

Tanha rah gaye hum, bas tanhaiyon ke sath

Itna to yaad hai mile ék arse hue,
shayad aaj unn lamhon ki yaadon ne jinda rakha hai humen.
ék baar saqui gar mud ke dekha hota..
to ankhon me chupa liya hota tumhen..

abb to ye ankhen bhi patthar si ho chali,
chhaya Thi ankhon me jo Teri wo bhi dhundali si humen mili..
khoja dil ke ashiyane jab tumhen kahin,
akhon Se har ehsas chalak padi..

Hum rokate tumhen ya tatolte kahin,
par shabnami laun me abb ye ankhen hi na rahin..
sochta hoon dil ko samjhaya kyon nahin,
dil ko tadapne Se bachaya kyon nahin.

par sochate hi dil ki dhadkane kahen..
tu nikal deta unhen to mar na jata kabhi...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Monday, January 2, 2012

Hausalon se Manjil milte hi hain Raahi...

Aaj tanhaiyon me baithe sochta hoon,
Mukaddar kya sirf hausale ka naam hai..
Tootate hain hausale bhi ek muddat ke baad,
Kya intejaar ka yehi anjaam hai..

Hai hasraton me agar hausale,
Ladate hain jangi barfeele jung me..
Choomate hain jameen ko wo ek fakr se magar,
Kya maut hi bas unka armaan hai..

Tanhaiyon me bhi deti hai roshani,
Kya roshani pe usko bhi gumaan hai..
Lau jal jaati hai ek shaam ke liye,
Kya shaam ko uss lau par bhi abhimaan hai..

Ye hausale hain shayad jo tootate nahin,
Unn hausalon se banati to khud ki hi shaan hai..
Jo toote kabhi to judate nahin hain raahi,
Aage chalna raah banana bas unka kaam hai..


Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Tuesday, December 27, 2011

Shayad kahin ye unke dil ka koi paigam hai

Katra katra aaj unhen hi janta hai,
Ye ek muddat se unhen hi pahchanta hai..
Sochata hoon chupa leta apne dil me kahin,
Par ye kambakht dil bhi bas unhen hi chahta hai..

Ankhon me jo armaan sajayen hain,
Ye bhi unke ehsanon ka anjaam hai..
Tutati saanse bhi jud jati hain,
Shayad kahin ye unke dil ka koi paigam hai..

Hontho par bhi ek muskan chalak jati hain,
Yadein dil ke bhanvar me jab aati hai...
Jasbat chehre pe machal aate hain,
Jab unke ghunguru ki aahten bhi aati hai...

Armano ke shamiyane main,
Bas unke hi silwaten hai..
Unn silwaton ke darmiyanon main,
Bas unki hi chahten hai...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Saturday, December 10, 2011

Nari tu Narayani

Wo chand bhi chandalika bhi,
aur shashwat radhika bhi..

wo tej hai ék Prajwala si,
aur prajwalit aarti bhi...

wo sur kavita ki hai koi,
sur ki wo rasdhar bhi...

Wo sheesh hai ek vriksh ka,
Sheesh ka abhimaan bhi..

Wo bhoomi hai mamta ki koi,
Aur uski ki chanv bhi..

Wo nav samandar me hai koi,
Nav ki majdhar bhi..
Wo tootati khud toi hai lekin,
Humen lagati paar bhi..

Wo abla nahin ek nari hai,
Deti hai jo pyar hi...

Dedicated to girls, who live life for others avoiding all her pains.

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Thursday, December 8, 2011

Aksar jab tumhara jikr aata hai

aksar jin lamhon me tumhara jikr aata hai,
sanse ruk jaati hain dil tham Se thahar jaata hai.
Ek arsa hua tujhse mile hue aiye hujur,
abb to ankhon me bhi tera chehra,
dhundla sa najar aata hai.

amavas ki Kali raaton me jab chand ki roshni na hoti hai,
Bas dil me har jasbaat umad jataa hai.
Sochata hoon palkon me chipaya na kyon tujhe,
uss soch Se ankhon me bhanvar sa aata hai.
Ankhen bhar jaati hain meri,
par ye dil khali sa najar aata hai.

With Love
Brijesh Kumar Pandey

Wednesday, December 7, 2011

Dedication from someone to me...Really loving it alot...And thanks

"Dil me hai koi mere,
Jo har pal mujhe satata hai;
Na jaane wo kaun hai,
Jo din raat mera chain churata hai;
Chori se chupke se,
Mere kaano me kuch kehta hai;
Jab hansti hoon main,
To mere labon ko chum jata hai;
Jab dhundhti hai meri nazre use,
Tab meri aankhen band kar deta hai;
Karta hai itni shaitaaniya,
Par phir bhi dil usiko pukaarta hai;
Dil me hai koi mere,
Jo har pal mera chain churata hai;
Na jaane wo kaun hai,
Jo din raat mera chain churata hai."


Tuesday, November 29, 2011

Ek ladaki kahin par baithi hai

Ek haseen lamhon ki chadar odhe baithi hai,
Uss chadar ki silwaton me armaan sanjoe baithi hai,
Armanon ki goton main ehsaas chupoe baithi hai,
Baithi hai chup chap magar,
Dil me ek toofan basaye baithi hai..

Ek raat shabnami ki laun main,
Khud ko wo jalaye baithi hai.
Roti hai wo dil main magar,
Hontho par muskan sanjaye baithi hai.

Ek abla hai ya koi mohjabeen,
jo shringaron me baithi hai,
Hain ankhon me ansun ki dhara,
Unhen chupane ki koshish main,
Wo khud ko hi chupa kar baithi hai..

Looking ahead for your comments.

Thanks and Regards,
Brijesh Kumar Pandey
9004091113