Thursday, June 28, 2012

Kar vida main to chala

Dekh pinjar band pada tu,
Aur saqui hans raha..
Fir dhooli abb aas teri,
Sahilo pe bas raha..

Ye andheri sham hai,
Ya koi thahri raat ghani..
Abb iss andhiyare tale,
Mera suraj dhal raha.

Toot gayi sanso ki dori,
Tham gayi jeevani adhoori..
Kar vida iss raat ko main,
Subah sunhara dekh raha...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey
9004091113

Wednesday, June 27, 2012

For my life...


Aaj raat ki oat main,
Khudko hoon main kharonchta.
Sochata dil se hoon lekin,
Dhadkanon ko rokta.


Kaat apni rooh ko,
Khudse hoon khudko todata.
Jindagi ki chah me,
Maut ki chadar odhata.

Fir muqqadar thi jo rahen,
Chhoot gayin mujhse kahin.
Abb jo dhundenge mujhe wo,
Rahon me apne kahin.

Rahen le jayengi unhen abb,
Main jidhar hoon aaj sota.
Jindagi ki chah me,
Abb maut ki chadar odhata.

Thanks for being my life.

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Friday, June 22, 2012

Jindagi kya hai..

Aaj shayad jindagi maut ka
jaama pahane khadi hai,
dekh musafir kahin,
gale na laga lena.
khuda Se karle tu,
Bas itna sa zidd,
har lamhon me
uski dastak talak suna dena.
Ho na jaaye taare
gardishon me mere,
unn taron ko tutana
Tu seekha dena.

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Tuesday, May 29, 2012

Apni Awargi hai ya koi jindagi...

Hai tapan ek aag sa,
Hai jalan ek saanjh sa..
Jo dhal gaya ek raat pe,
Chod peeche raakh sa..

Angaar ki laun sa jaala,
aur jharne sa badha..
Tod chattaano ko sahil,
Khud banata main chala..

Na andheron ki fikar hai,
Na ujalon se hai pyar..
Fir savera dekhana kyon,
Jab toota sanson ka sath...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey
9004091113

Tuesday, April 17, 2012

Dilko unke kaise sukun me de jaun

Aaj fir zindagi uss mukaam par khadi hai,
Ek taraf ghana andhera
to duji or maut shama baandhe khadi hai.
Na jaane aaj rahen uss dagar kyon mudi hai,
Jin par abb unke aks bhi na mili hai.

Gumnami ke shamiyane me kahin kho jaun main,
Ya fir kafan odh gum sum so jaun main.
Na chaha ki ashaon me koi pal ko jiun,
Har shakhs ki aankhon se ojhal ho jaun main.

Shayad unke dil ko fir koi sukun mile,
Rahen unki fir foolon se sanjein.
Inn saanso ki dori tod,
Unhen kuch hansin pal de jaun main.
Gumnami ke shamiyane me kahin kho jaun main.

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Tuesday, April 3, 2012

Love is thrilling when ur with me.

Love is thrilling when ur with me...
but its chilling when u departed..
Dreams are killing day by day,
Loosing the beat feeling the pain
the time I separated..

Cursing the heart,
Why this beat..
Is she an angel,
Or just a dream..

I loose her sight,
With my open eyes..
wish her to feel again,
Before I loose my life..



Regards,
Brijesh Kumar Pandey

Saturday, March 24, 2012

Ek Sainik ki awaj

Hoon paki se laaj bachaya,
Aur chini ko maar bhagaya..
Soya reton ki chaon me,
Aur khoya tufano me...
Har jung ek abhiman bana,
Jiya main virano me..

Dekhata hoon jab desh apna,
Ankhen ho jaati hai nam si..
Dimag dil par haavi hokar,
Jab poochata hai...
Kyon jiya iss watan ke liye,
Jismen sirf ek desh to hai
Par odh ke chadar soye hain,
Khoyen hain iske wasi...
khud hi dushman ban baithe
Ladate hain ek jaati ke khatir..

Chhalni hai abb iss maa ka seena,
kaliyugi inn sapooton se..
Toot rahi sanson ki dori,
Bas inki kartooton se..


Regards,
Brijesh Kumar Pandey