Na jaane kyon aaj fir kuch hai khoya,
Aankhon me jo tasvir hai basai
Na jaane kyon aaj uss se bhi ansu hai gir aayi...
kya ye unke yadon ka ehsas hai,
Jo har pal totati unki sans hai...
Ya chadar koi kanton sa,
Chubhta aaj zahan me...
Oddh sannaton ka kafan,
So gaye wo aaj gahan me...
Na palkon par paani hai koi,
Na dil me jasbaat hai...
Wo rahi tha ek mast pawan sa,
Jismen abb na koi khwab hai..
With Love,
Brijesh Kumar Pandey
No comments:
Post a Comment