Monday, April 11, 2011

Desh Ki Awaaj

Desh Hi Aawaaz Hai,
Desh Hi Sur-O-Saaz Hai,
Desh Hi Jeevan Ki Aag Hai,
Desh Hi Thandak Ka Ehsaas Hai,

Yeh Hai Apni Janm Bhoomi,
Yeh Hai Apni Karm Bhoomi,
Tiranga Apna Yeh Abhiman Hai,
Isko Uncha Lehrana Apna Imaan Hai,

Pooja Ke Liye Mandir Bhi Yahi,
Mandir ka jeevan saar Yehi,
Dharti Par Swarg Bhi Yehi,
Uss swarg ka ehsaas Yehi,

Dolte Hain Singhasan Yahan,
Chutati majhdhaar Yahan
Hunkar diya jab desh ne,
Girti Tab Sarkar Hai,

Din Bhar Aaye Hain Shaitanon Ke,
Jinhone Nichoda daliton Se Jaan Hai,
Ab Lalkaar unn deewano Ki,
Jo Sacche Watan Ke Pehchaan Hai....

By Brijesh & Hanif

No comments:

Post a Comment