Tuesday, April 17, 2012

Dilko unke kaise sukun me de jaun

Aaj fir zindagi uss mukaam par khadi hai,
Ek taraf ghana andhera
to duji or maut shama baandhe khadi hai.
Na jaane aaj rahen uss dagar kyon mudi hai,
Jin par abb unke aks bhi na mili hai.

Gumnami ke shamiyane me kahin kho jaun main,
Ya fir kafan odh gum sum so jaun main.
Na chaha ki ashaon me koi pal ko jiun,
Har shakhs ki aankhon se ojhal ho jaun main.

Shayad unke dil ko fir koi sukun mile,
Rahen unki fir foolon se sanjein.
Inn saanso ki dori tod,
Unhen kuch hansin pal de jaun main.
Gumnami ke shamiyane me kahin kho jaun main.

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

No comments:

Post a Comment