Wednesday, January 16, 2013

Thakna nahin Ladna hai Raahi

Kabhi maujon me bah kar seekha hai,
Paani me bhi raah banana.
Mushkil chattanon se ladkar,
Aur apni manjil ko paana.

Maana ki mushkil hai raahen,
Par inko mumkin hai banana.
Chahe inme tej jalan ho,
Bas inpe badhate hai jana.

Raahon me angaar to honge,
Par tujhme armaan to hoga.
Unn armaanon ko lekar,
Loot le tu sapno ka khajana...

Regards,
Brijesh Kumar Pandey

No comments:

Post a Comment