Monday, January 2, 2012

Hausalon se Manjil milte hi hain Raahi...

Aaj tanhaiyon me baithe sochta hoon,
Mukaddar kya sirf hausale ka naam hai..
Tootate hain hausale bhi ek muddat ke baad,
Kya intejaar ka yehi anjaam hai..

Hai hasraton me agar hausale,
Ladate hain jangi barfeele jung me..
Choomate hain jameen ko wo ek fakr se magar,
Kya maut hi bas unka armaan hai..

Tanhaiyon me bhi deti hai roshani,
Kya roshani pe usko bhi gumaan hai..
Lau jal jaati hai ek shaam ke liye,
Kya shaam ko uss lau par bhi abhimaan hai..

Ye hausale hain shayad jo tootate nahin,
Unn hausalon se banati to khud ki hi shaan hai..
Jo toote kabhi to judate nahin hain raahi,
Aage chalna raah banana bas unka kaam hai..


Regards,
Brijesh Kumar Pandey

No comments:

Post a Comment